Karti hoo intezaar teri,
Tum aate to nahi,
Chale gaye ho kahi,
Phir bhi karti hoo intezaar teri!
Tere bin kahi bhi lag nahi
Rahi hai jee aur jism meri!
Karti hoo intezaar teri!
Ehsaas nahi huva
ki itna
Dard hoga door
rehne se,
Ab kya fayda hai iss
Ab kya fayda hai iss
Dard ko sehne se,
Mitana hai ise lagake seene se...
Mitana hai ise lagake seene se...
Guzarish hai ki
aap ke saath bitaye apni zindagi!
Kwahish hai ki
aap se hi ho hamari bekhudi!
Chahe ya na
chahe aap ka hi ho hamara jee!
Reh na paaye hum aap ke bin kabhi!
Suna hai ki pyar karne se zindagi badal
jaati hai,
Tabhi
saari khushi aur roshni aati hai,
Par mujhe kya pata tha ki pyar zindagi
hi bana deti hai!
Aapse door rehne ki aasha nahi hai,
Phir bhi door rehte hai hum,
Hamari dil ki aasha yeh hi hai,
Ki aapke zindagi mein kabhi bhi ho na
gham!
Dil se soche toh lagta hai sab sahi,
Dimag se soche toh lagta hai nahi nahi!
Is dil aur dimag ke beech jo bhi jagada
hai,
Log kehte hai pyar hai yehi!
Kehte hai mulaqat dooriyan mitathi hai,
Par pata nahi kyun yehi mulaqat
Dooriyan bada bhi dethi hai!
Ek pal bhi nahi kat tha tere bin,
Khayal hai sirf tere raat din,
Duniya meri adhura adhura,
Jaane na kab hoga poora!
Karti hoo intezaar teri,
Tum aate to nahi,
Chale gaye ho kahi,
Phir bhi karti hoo intezaar teri!
- Saranya Parthasarathy
No comments:
Post a Comment